Music
Tere dil main rahunga dhadkan bankar
Dhadkan main rahunga saansein bankar
Apne dil se kabhi juda mat samajhna
Sath chalunga saya bankar
Ye dil hain tera (sirf tera..)
Ye jaan meri (sirf teri…)
Kurbaan hua main jabse hua
Tera hokar sari khushiyan mili
Kyun teri udasi
Yun mujhe udas karjati hain
Kyun teri khamoshi
Yun mujhe khamosh karjati hain
Kya rishta hain tera aur mera..
Jo palke band hote hi
Teri yaad aajati hain….
Teri yaad aajati hain….
Ye dil khoya mera teri yaadon mein…
Ye dil khoya mera teri yaadon mein… (2 Times)
Main todleta agar tu gulaab hoti…
Main jawab banta agar tu sawaal hoti…
Sab jante hain main nasha nahi karta…
Magar pee leta agar tu sharab hoti…
Na rooth na mujhse main mar jaunga..
Dil ki duniya tabah kar jaungaa..
Pyar kiya hain koi gunaah nahi
Dil ki dhadhkan tere naam kar jaungaa
Ye dil khoya mera teri yaadon main…
Ye dil khoya mera teri yaadon main…(2 Times)
Ye dil hain tera (sirf tera…
Ye jaan meri (sirf teri..)
Kurbaan hua main jabse hua
Tera hokar saari khushiyan mili
Ye dil khoya mera teri yaadon main…
Ye dil khoya mera teri yaadon main..