Arts
sitāroñ se aage jahāñ aur bhī haiñ abhī ishq ke imtihāñ aur bhī haiñ tahī zindagī se nahīñ ye fazā.eñ yahāñ saikḌoñ kārvāñ aur bhī haiñ qanā.at na kar ālam-e-rañg-o-bū par chaman aur bhī āshiyāñ aur bhī haiñ agar kho gayā ik nasheman to kyā ġham maqāmāt-e-āh-o-fuġhāñ aur bhī haiñ tū shāhīñ hai parvāz hai kaam terā tire sāmne āsmāñ aur bhī haiñ isī roz o shab meñ ulajh kar na rah jā ki tere zamān o makāñ aur bhī haiñ ga.e din ki tanhā thā maiñ anjuman meñ yahāñ ab mire rāz-dāñ aur bhī haiñ