Fiction
Anjali apne naye flat ki housewarming party mein mazaak-mazaak mein sealed basement ka zikr karti hai. Doston ki zid mein darwaza toot toh nahi pata, lekin ek chhota sa crack reh jaata hai aur usi se shuru hoti hai ajeeb ghatnaayein. Agli subah gifts gayab milte hain, raat ko fauji cheekhon, bombs aur anjaani awaazon ke sapne usse satane lagte hain. Ek raat koi anjaan taaqat use ghaseet kar basement mein le jaati hai, jahan woh bali sthal, skeletons aur ek purane cult ka khaufnaak sach dekhti hai. Pata chalta hai ki World War ke dauraan yahaan logon ki bali di jaati thi — aur unki aatmaayein ab bhi wahin bhatakti hain. Jab sab kuchh haath se nikalta lagta hai, ek Aghori uski madad karta hai. Shraadh aur havan ke zariye woh basement ko hamesha ke liye seal kar deta hai, aur bhatakti aatmaon ko mukti milti hai. Ek kahani jahan curiosity ek darwaaza kholti hai aur sach usse kahin zyada andhera hota hai jitna socha bhi na ho.

