Murda Ghar - 1980 | Episode 263 | Ek kahani aisi bhi - Season 5 | My Town Horror Stories

Share:

Listens: 1406

My Town - Horror stories | Ek kahani aisi bhi - Season 5

Fiction


Check out my latest episode!


Kahte hai ke wo Murda Ghar british kaal main san (1940) main banaya gaya tha. Or uske kuch hi saalo baad kuch aasamanya ghatnao ke chalte us murda ghar ko band kar diya gaya. Koi nahi janta ke akhir aisa kya hua tha wahan. Ke achank us murda ghar ko band karna pada. Halanki jaydatar murda ghar hospitles ke ander ya hospitles ke sath hote hai. Par is murda ghar ko insaani ilako se kaafi sunsaan jagah par or kaafi bade akaar main banaya gaya tha. kuch jankaaro ki maane to is murda ghar main un laaso ko rakha jaata tha jinki mout chua chhut ki bimariyo se hoti thi. Or wahi dusri taraf kuch jankar batate hain ke yahan un lasso par resrch ki jaati thi jo kaidi jail main jhel rahi yatnao ke chalte mar jaate the. lekin is par kiye gaye daabo ke koi pukhta saboot kabhi nahi mile. Or fir (1980) ke dur main is imarat ko sarkaar dura fir se renovate karwaya gaya or iski jagah ek hospitel ka nirmaan kar diya gaya. par uske kuch hi mahino baad us jagah ek aisi ghanta ghati jo kisi bhi insaan ki kalpnao se pare thi. ek hi raat main lagbhag 60 marizon ke sath sath 10 karmchariyo ki bade hi rahsyamai tarike se mout ho gayi. badi hairani ki baat thi ke marne baale sabi logo ki laase hospitle ke murdaghar main mili thi. or Is ghatna ke baad ek baar fir us jagah ko humwsha humesha ke liye band kar diya gaya. aaj ki kahani usi murda ghar main ghati ek aisi ghatna par adharit hai. jisko sunne ke baad aap bhi kisi khandar imarat ke aas pass jaane se pahle 100 baar sochenge.