Kuch yaad raha kuch bhool gaye - Abhay Punjabi

Share:

Listens: 0

Qissa Mukhtasar

Arts


Apne bachpan ke woh kisse kuch yaad rahe kuch bhul gaye Jo kehni thi hazaaron baatein kuch yaad rahi kuch bhul gaye Woh sadko par bhatakna, aur josh josh mein Kahi duur nikal jaana Unn safar ki saari yaadon mein kuch yaad rahi kuch bhul gaye Jo saath hasse aur saath roye Tere kaandhe sarr rakh kar soye doosre period mein apna sandwich niptaake phir break mein dusro ke parathe khaana canteen mein udhaar ki ice-cream leke apni shirt pe pighlaake giraana, Inn khatte meethe ehsaaso mein kuch yaad rha kuch bhool gaye tujhe sabke saamne chidhaake, apna koi fake id se katwana Kam number aane ka rona gaana, Phir izzat ko naa padhne ke bahano talle bachana inn tuuti phooti tasveero mein Kuch yaad rha kuch bhul gaye Uss teacher ko sirf tujhe hasane Ke liye pareshan karna Phir khoob pitaayi khaana Zabardasti bithai bench partner se Ke saath koniyo ka ittefaaq se chhuna Aur shareer mein ek ajeeb sa current daudna Jab kisi ko beimtehaan iss qadar chaahna Aur umeed haar jaane par phir usi se rakhi bandhwana Dost ko intro karana phir ussi dost ki dosti dekh, jal jaana Inn behki behki gardish mein Kuch yaad rha kuch bhul gaye Woh ground mein uska chhup ke peechha karna Aamne saamne khade ho kar pyaar se sharmana aur ghabraahat mein kuch bhi anaab shanab badhbadhana Inn mehki mehki baaton mein Kuch yaad rha kuch bhul gaye. achanak ek vidaai ki shaam aayi Alvida kehne ka jab mauka laayi Har kaam kiya naache aur gaaye Bajayei alvida kehne ke hazaaron waadon ke pul banaaye umr bhar saath bitane ke Jitna bhi aage jaane ke Phir laut ke wapas aane ke Kuch cheekhnein ke chillane ke Yaaro ki yaari nibhaane ke Kuch jaam ke takraane ke Kuch dhuen mein udhaane ke Kuch jeet ke kuch haar ke Zindagi ki baazi maar ke Galle phir se lagg jaa yaar ke. Ye waade ke sahare nikal pade apni duniya banane Inn saare khwabo ke waadon mein Kuch yaad rha kuch bhul gaye