Arts
ham par tumhārī chaah kā ilzām hī to hai dushnām to nahīñ hai ye ikrām hī to hai karte haiñ jis pe ta.an koī jurm to nahīñ shauq-e-fuzūl o ulfat-e-nākām hī to hai dil mudda.ī ke harf-e-malāmat se shaad hai ai jān-e-jāñ ye harf tirā naam hī to hai dil nā-umīd to nahīñ nākām hī to hai lambī hai ġham kī shaam magar shaam hī to hai dast-e-falak meñ gardish-e-taqdīr to nahīñ dast-e-falak meñ gardish-e-ayyām hī to hai āḳhir to ek roz karegī nazar vafā vo yār-e-ḳhush-ḳhisāl sar-e-bām hī to hai bhīgī hai raat 'faiz' ġhazal ibtidā karo vaqt-e-sarod dard kā hañgām hī to hai