Arts
rāhat-e-jāñ se to ye dil kā vabāl achchhā hai us ne pūchhā to hai itnā tirā haal achchhā hai maah achchhā hai bahut hī na ye saal achchhā hai phir bhī har ek se kahtā huuñ ki haal achchhā hai tire aane se koī hosh rahe yā na rahe ab talak to tire bīmār kā haal achchhā hai ye bhī mumkin hai tirī baat hī ban jaa.e koī use de de koī achchhī sī misāl achchhā hai daa.eñ ruḳhsār pe ātish kī chamak vaj.h-e-jamāl baa.eñ ruḳhsār kī āġhosh meñ ḳhaal achchhā hai aao phir dil ke samundar kī taraf lauT chaleñ vahī paanī vahī machhlī vahī jaal achchhā hai koī dīnār na dirham na riyāl achchhā hai jo zarūrat meñ ho maujūd vo maal achchhā hai kyuuñ parakhte ho savāloñ se javāboñ ko 'adīm' hoñT achchhe hoñ to samjho ki savāl achchhā hai