Arts
Is baar hum aapke liye le ke aaye hain Uttarakhand ke folk ke pedon se ek kahani tod ke, wo bhi kauvon ke baare mein. Kauvon ko duniya mein lagbhag har jagah apshagun maana jaata hai... Ye jaante huye bhi raani ka dil kyu nahi dehla jub usne dekha us kaale kauve ko mehel ki khidki pe baith ke ek tak nannhe Ghughuti kumar ko ghoorte huye? Wo bhi tab jab nannha Ghughuti itni minniton aur duaon ke baad paida hua tha? Ek din jab raani naha ke aayi to dekha ki Ghughuti apne bistar pe nahin tha... Iske aage janne ke liye to kahani sunni hogi! To khud bhi suniye aur saathiyon ko bhi sunaiye! Podcast rate bhi kijiye aur follow bhi kar jaiye!