Arts
do chaar gaam raah ko hamvār dekhnā phir har qadam pe ik na.ī dīvār dekhnā āñkhoñ kī raushnī se hai har sañg ā.īna har aa.ine meñ ḳhud ko gunahgār dekhnā har aadmī meñ hote haiñ das biis aadmī jis ko bhī dekhnā ho ka.ī baar dekhnā maidāñ kī haar jiit to qismat kī baat hai TuuTī hai kis ke haath meñ talvār dekhnā dariyā ke is kināre sitāre bhī phuul bhī dariyā chaḌhā huā ho to us paar dekhnā achchhī nahīñ hai shahr ke rastoñ se dostī āñgan meñ phail jaa.e na bāzār dekhnā