Education
What is cryptocurrency? SIMPLEST EXPLANATION IN HINDI.. COINSWITCH KUBER:- http://gestyy.com/eiUVMo Disclaimer: Cryptocurrencies are unregulated in India and subject to market risk. Any trading risk/loss arising out of it will be the sole responsibility of the investor To ek baar jaldi se short me sab dobara se samajh lete hai. sabse pehle hamne dekha ki log ek samaan ke badle dusra samaan dete the jaise apple ke badele rice. phir system change hua aur gold aur precious metal ke badle samaan milne laga. Again improvements hui aur phir log gold bank me deposit kar ke currency notes le ke samaan lene lage. uske baad President Nixon ne gold aur dollar ka bond tod diya aur government ko power mil gayi ki vo jitne chahe not chaap sake ya band kar sake. Uske baad Satoshi Nakamoto aaya aur usne bitcoin launch kiya. jisme currency sirf ek bank me nhi balki internet ki tarah bhaut se servers me maintain ki jayegi jise koi bhi dekh sakega. lekin kaun transfer kar raha hai ye hame nhi pata chalega. Jo log in transfer me puzzle ko solve karne ke liye apne computers use karte hai vo miners hai jiske liye unhe chotti se fees milti hai. For example agar ham is transaction ki baat kare to is transaction ko complete karvaane ke liye sender ko 0.00019000 BTC pay karne pade. jo ki miners ko milenge. Haan sabse intersting fact jab pehli baar bitcoin launch hua tha to kisi ko bitcoin pe trust to tha nhi isiliye ek bitcoin ki value ek penny se bhi kam thi. Isiliye Hanyecz naam ke aadmi ne do pizza khareedne ke liye pizza wale ko 10,000 bitcoins diye the jiski aaj value 4200 crore se bhi zaada hai. kaash aap vo pizza wale hote. Anyways on serious note. is currency ka drawback ye hai ki ye bhaut hi volatile hai.. hame nhi pata agar aaj ham is currency me 1 lakh rupay invest karte hai to vo 1 crore ban jaaye ya zero ban jaaye. Lekin ye bhi true hai ki ham ise ignore nhi kar sakte kyunki kya pata yehi fiture ho Chinese government aur elon musk jaise log to samajhte hai ki yes this can be future. To agar aap bitcoin me invest karna chahte hai to utna hi invest kijiye jo aapko pata ho ki aap lose kar sakte ho. baaki bitcoin se related aur knowledge gain kijiye. I hope ye video aapko valuable lagi hogi. "JAI HIND"