Bachpan ki saari yaddein
Education
Kuch bachpan ki yaadein hoti hain na… jo kabhi purani nahi hoti.
Humein apna poora bachpan toh yaad nahi rehta, lekin kuch pal aise hote hain jo aaj bhi bilkul clear hain. Jaise kal ki hi baat ho.
Is episode mein, main thoda sa wapas gaya hoon unhi yaadon ki galiyon mein.
Baba ka radio bajna… Maa ki awaaz se subah uthna… aur woh subahen, jab life mein itni saari cheezon ki fikar nahi hoti thi.
Tab hamare paas shayad bahut kuch nahi tha. Lekin phir bhi hum theek the. Khush the.
Aaj humari zindagi kitni fast ho gayi hai. Har waqt kuch paane ki, kuch prove karne ki, kuch aur banne ki race chalti rehti hai.
Kabhi kabhi lagta hai, shayad humein bas itna yaad karne ki zaroorat hai ki hum jaise hain, waise bhi enough hain.
Ho sakta hai sukoon kisi aur cheez ko paane mein nahi, balki jo hai usse mehsoos karne mein ho.
Toh aaiye, is episode mein mere saath ek chhoti si walk lete hain… bachpan ki un galiyon mein, jahan zindagi thodi simple thi, aur khush hone ke liye bahut kuch chahiye nahi hota tha.
Aur haan, mujhe zaroor batana — aapke bachpan ki woh kaunsi ek yaad hai jo aaj bhi aapke chehre par smile le aati hai?
Comments mein likhiye. Shayad aapki ek yaad kisi aur ko bhi uske bachpan tak le jaaye.
Aur agar yeh episode aapke dil ko chhoo gaya ho, toh ise apne kisi apne ke saath zaroor share kijiye.
Aap chahte hain ki agle episodes mein hum kis baare mein baat karein?
Woh bhi batayiye.
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Kahaniyon ke zariye khud se milne aaiye
Mere agle Kahanibaaz show ke tickets book karne ke liye, link par click karein
https://in.bookmyshow.com/events/kahanibaaz-by-ashish-vidyarthi/ET00486638
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Come be a part of My YouTube Family ️
Subscribe To my YouTube Channels
️ @Ashish Vidyarthi Actor Vlogs
️ @Ashish Vidyarthi Podcast
️ @Food Khaana With Ashish Vidyarthi
️ @Anbudan Ashish Vidyarthi
️ @KAHAANI KHATARNAAK GOI WITH ASHISH VIDYARTHI
Press the bell icon to be the first to get notified each time I upload a new video.
Alshukran Bandhu
Alshukran Zindagi

